A BEAUTIFUL POEM! Beti bankar aayi hu maa-baap ke jivan me, basera hoga kal mera kisi or ke angan me, kyu ye reet bhagwan ne banayi hogi, kehte hai aaj nahi to kal tu parayi hogi, deke janam paal-poskar jisne hame bada kiya, aur waqt aaya to unhi hatho ne hame vida kiya, kyu rishta hamara itna ajib hota hai, kya bas yahi hum betiyo ka nasib hai