radhikapatel Offline

36 Single Female from New Delhi       11
         

Blog

Bachpan ki yadein, jo ap sirf bhuli yadein ban gayi he . M i right?

Bachpan ka zamana hota tha,
khushiyo ka khajana hota tha,

chahat chand pane ki ,
dil titli ka diwana hota tha,

khabar na thi ku6 subah ki,
na shamo ka thikana hota tha,

thak har k ana school se,
par khelne bhi jana hota tha,

dadi ki kahani hoti thi,
pario ka fasana hota tha,

baris me kagaj ki kashti thi,
har mausam suhana hota tha,

har khel me sathi hote the,
har rishta nibhana hota tha,

papa ki vo dante galti par,
mami ka manana hota tha,

gam ki zuba na hoti thi,
na zakhmo ka paimana hota tha,

rone ki vajah na hoti thi,
hasne ka bahana na hota tha,

ab nhi raha vo jindgi jaisa,
bachpan ka zamana hota tha.